|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
rattt......
Sab kehte hai, har raat mai koi baat hoti hai bas wahi janne ke liye mai kal raat raat ko pehchanne gaye mujhe samajh nahi aa raha tha aakhir raat mai kya khubi ho sakti hai par fir har kisi ki baat zehan mai to thi mere tabhi mere kaano mai ek aawaz sunai padi us aawaz mai ek kashish si thi maine har taraf dekha par koi dikhayi na diya par aisa mehsos hua ki koi meri taraf bad raha hai tabhi raat ne mera naam lekar mujhe pukara aur boli mai to har taraf chayi hui hon bas tum dhyan se dekho to mujhe badi hairani si hui ye sab sunkar fir maine unse poocha aakhir ye raat hoti kya hai kya raat ki pehchaan sirf andhera hai jise dekh hum sabko darr lagta hai jo naumedi ka sandesha deta hai tab raat ne kahan raat ka matlab chand ki chandni hoti hai taro se bhari aasmaan ki kahani hoti hai jiski god mai har kisi ko chain ki neend aa pati hai fir raat ne humse poocha kya insaan jab akela hota hai to kya raat uska saath nahi deti kya raat mai hi sabse pyaari neend nahi aati raat mai insaan sari duniya ko bhulkar apna astitva dhoond pata hai isliye to raat din ki roshni ke baad aati hai aur sabki taklifo ko sabse chura apne saath le jaati hai sach ye sab baate sunkar to mai hairan hi reh gaya aur yahi sab sochte sochte mai raat ki god mai chain ki neend so gaya shayad sab sach hi kehte hai ki raat ki apni hi ek alag pehchaan hoti hai............
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|