|
Tum Meray liay kia ho to sun lo,
Tum Meray liay kia ho to sun lo, Meri har sans main tum ho, Meri har dharkan main tum ho, Meri har aahat main tum ho, Meri har chahat main tum ho, Meray har lafz main tum ho Har naam tumhara naam hai, Har baat tumhari baat hai, Har lafz jo meray lab per hai, Wo tumhara kaha hua hai, Har lamhe, meray zehan main tum ho, Har khwab main tum ho, Har lamhe meray khayalo main tum ho, Har yaad main tumhari yaad hai, Har chehre main tumhara chehra hai, Meri har aadat tumhari adat hai, Mera ye jivan tumhare naam hai, Meri zindagi tumhare naam hai, Meri zindagi tum se hai, Meri pehli or akhri muhabat tum ho.!
|
|