|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
MuJhe tum nazar se gira to rahe ho
MuJhe tum nazar se gira to rahe ho MuJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge Na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai Mere pyaar ko tum mitaa na sakoge
Meri yaad hogi jidhar jaaoge tum Kabhi nagma banke kabhi banke aansoo Tadapta muJhe har taraf paaoge tum Shama jo jalaayi hai meri wafa ne Bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge
Kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera To bechain ho hoke dil thaam loge Nigahon mein chaayega gham ka andhera Kisi ne jo poocha sabab aansuoN ka Bataana bhi chaaho bata na sakoge
MuJhe tum nazar se gira to rahe ho MuJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|